Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Mera,
Yahi.. Prabhu ki Maya, Issey Kaun Bach Paaya.
Rishiyon ko, Muniyon ko, Gyaniyon ko, Guniyon ko,
Isney.. Sadaa nachaya, Is..sey kaun bach paaya.
Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Mera
Kisi ko hai dhan… ban ban ke chiptee,
Kisi ko yeh roop… ban ban ke liptee,
Maan barhaai bani - kisi ke mann mein,
Ahankaar ban - ban ke simtee
Iske sabhi hain rang rey, Iske ajab dhang rey
Kisi ko dilaa ke sukh, kissi ko dilaa ke dukh,
Sabko hai uljhaya, Is..sey kaun bach paaya.
Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Meraaaa…
Badey gyaani se bhi yeh … bhool kara de,
Badey se badey ko yeh … dhool chataa de
Paagal banaa de yeh … viraagi mann ko
Bada bairee kar de ye… sagey sajan ko
Iske sabhi hain rang rey, Iske ajab dhang rey
Bade ko banaa ke chhota, Khare ko banaa ke khota
Sabka.. sheesh jhukaya, Is..sey kaun bach paaya.
Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Meraaaa…
Maya hai prabal …sachchi baat hai teri,
Kintu yeh hai Raghuwar …kee to cheyree
Jag ko nachaye maya…maya ko Ram ji
Unke hi haath dor …teri aur meri
Iske sabhi hain rang rey, Iske ajab dhang rey
Guru charnon mein jo aaya, usey naa lagey yeh maya
Yahi Bhakton ne gaaya, Is..sey kaun bach paaya.
Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Mera,
Yahi.. Prabhu ki Maya, Is..sey Kaun Bach paaya.
Rishiyon ko, Muniyon ko, Gyaniyon ko, Guniyon ko,
Issney.. Sadaa nachaya, Is..sey kaun bach paaya.
Tera Mera, Mera Tera, Mera Tera, Tera Mera, aaa…