menu-iconlogo
logo

Aatish

logo
Lyrics
Sitam kiye, bohat kiye, kis-kis ko samjhaun?

Ye kaam ki nakamiyan, aao, tujhe batlaun

Ishq hansaye, ishq rulaye

Kabhi de pankhadiyan, kabhi la giraye

Ye naam ki badnaamiyan

Ye kaam ki naakamiyan, ho

Ye nazar ka dhokha

Ye dilon ka sauda

Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na

(Ho) tujhe khabar nahi, (ho) ye aag aisi hai

(Ho) jo tod deti dil, ye baat aisi hai (na, na, na)

Tu jaagta rahe, (tu jaagta rahe) ye raat aisi hai

Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (whoa, whoa, whoa)

(Suno, ek baat kahoon?)

Nagar-nagar (mm) guzar gaye (mm)

Par na mila thikaana (mm)

Hai shayar′on (mm) ne sach kaha (mm)

Ishq hai uljha afsana

Itraate hain, murjhaate hain

Gham khushiyon mein ghul jaate hain

Faraz ki likhaiyan (Faraz ki, Faraz ki, Faraz ki)

Ye Mir ki duhaiyaan, haan

Jaun ki udaasi

Josh ka tarana

Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na

(Ho) tujhe khabar nahi, (ho) ye aag aisi hai

(Ho) jo tod deti dil, ye baat aisi hai (na, na, na)

Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai (ho)

Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (na, na, na)

Dhola, teriyan udeekan kyun laayian?

Rogi keeta hai dil mera, saiyan

Jogi, kyun hai tu itna bechara?

Kyun maangta hai kamzor baahon ka sahara?

Mann bhar jaave, yaar chhod jaave, dar jaate ho tum

Galliyan-chobare, majnu pukaare, thak jaate ho tum

Bhari jawani mein aankh kar gaya hai teri nam

Bewajah ke jholi'on mein de gaya hai gham

Ye Heer ki manmarziyan (Heer ki, Heer ki, Heer ki)

Ye Faiz ki hain arziyaan (Faiz ki, Faiz ki, Faiz ki, haan)

Ye nazar ka dhokha

Ye dilon ka sauda

Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na

(Ho) tujhe khabar nahi, ye aag aisi hai

Jo tod deti dil, ye baat aisi hai

Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai

Awargi ye, dost, soghaat aisi hai

Tujhe khabar nahi, (tujhe khabar nahi) ye aag aisi hai

Jo tod deti dil, ye baat aisi hai (whoa, oh, oh)

Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai (tu jaagta rahe)

Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (ho, ho, ho)