falak dekhoon zameen dekhoon
jahaan dekhoon tera chehra
wahi dekhoon
falak dekhoon zameen dekhoon
jahaan dekhoon tera chehra
wahi dekhoon
har ik manzar tera manzar
wo kya manzar jahaan tujhko
nahin dekhoon
falak dekhoon zameen dekhoon
jahaan dekhoon tera chehra
wahi dekhoon
hai kisne tarasha ye
badan marmari sa
ye khaabon bhari aankhein
ye chehra pari sa
hai kisne tarasha ye
badan marmari sa
ye khaabon bhari aankhein
ye chehra pari sa
tu hi mera haasil hai
tu hi arzoo
baharo ko nazaro ko
sitaro ko jo tu na ho
nahin dekhoon
falak dekhoon zameen dekhoon
jahaan dekhoon tera chehra
wahi dekhoon
chhalakta hai palkon se
ye kaisa nasha hai
nahin hosh mein koi
kya dilkash samaa hai
chhalakta hai palkon se
ye kaisa nasha hai
nahin hosh mein koi
kya dilkash sama hai
tera noor chhaaya hai
tera he junnoon
oh jaane ada tere jaisa
nahin mumkin kahin koi
haseen dekhoon
falak dekhoon zameen dekhoon
jahaan dekhoon tera chehra
wahi dekhoon
har ik manzar tera manzar
wo kya manzar jahaan tujhko
nahin dekhoon