Abhee ye ghar bhale hee koob begaana hai tujko
Jahaan-bhar mein bhatak kar fir yaheen aanaa hai tujko
Ke din jab dhal chukaa hoga to soyega kahaan too?
Abhee se de rakhaa bistar ka sirhaana hai tujko
Tere apanae tuje maalum honge vaqt chalte
Too apana le abhee, jiskoo bhee apnaanaa hai tujko
Tuje maalum hai, shammaa mein jal jaaegaa fir bhee
Samajh sakati hoon , kyun bananaa to parvaanaa hai tujko
O, piya, o piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiyaa, rasiyaa, kaheen aur too jaataa hai kyun?
O, piya, o piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiyaa, rasiyaa, kaheen aur too jaataa hai kyun?
Teri har 'haan' mein usne 'haan' milaai ek haftaa
Tuje lagtaa hai, usne koob pahachaanaa hai tujko
Main haragiz puuchhati hoon, 'kyun galat rastaa chunaa hai'
Bataa, kab aur kitni baar pachhataanaa hai tujko
Tera gam tha, tuje samajh nahin jaataa kaheen pe
Kya saaree zindagi is gam ko doharaana hai tujko
Tajurba ye bhee le-le, chal ise bhee jee le pooraa
Sunaane ko milaa ek aur afasaana hai tujko
O, piya, o, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiyaa, rasiyaa, kaheen aur too jaataa hai kyun?
O, piya, o, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiyaa, rasiyaa, kaheen aur too jaataa hai kyun?