menu-iconlogo
huatong
huatong
sunny-khan-durrani-neelam-ghar-cover-image

Neelam Ghar

Sunny Khan Durranihuatong
patrickouchene1965huatong
Lyrics
Recordings
Chay teen chay teen chay teen chay nou

Do darwaazay aur kamray hain dou so

Chay teen chay teen chay teen chay nou

Do darwaazay aur kamray hain dou so

Girti dewaar ko tum aik dhakka aur do

Me chalta hun dost ab haath mera chor do

Girti dewaar ko tum aik dhakka aur do

Me chalta hun dost ab haath mera chor do

Ke laashain hain khanjar hain

Circus ke bandar hain

Dugdugi

Par ab nachain ye kanjar hain

Dar dar ki thokarhain

Mere apne saaray ro paray

Choro na ghaseeto mujhe andar nahi aana

Mere shaitan ye pukaarain inhe bakhshun rozaana

Jab ke kam thi ye aamdani album bana betha

Kartab si shayari me banday nachaa betha

Ragrain lakeerain hatheli pe daagh hai

Ab sab ko bataa do ye banda azaab hai

To sab ko kya laga mujh me aeyb nahi hai?

Aankhain khol khara saamne ye wehem nahi hai

Mere phaddon se anaa inki sehem gai hai

Mujhe fame ki bhook wala marz nahi hai

Me is lobby pe moot dun ye mansion bekaar ke

Agar andar se dartay aap ulte ho star ke

"Ye chaapa nahi ye to bas aik homage hai!"

Fruity sa larka aik withdrawal ki maar hai

Aap puchain un logon ko ab tak kya khaar hai?

In jhoolnay waalo ko jo tapli ham maarain

Ye cheekhain, pukaarain (Cheekhain, pukaarain)

Puchain mujhse kese mujhpe lafz ye utarte

Kabhi moat ke farishtay se tum pucho "Kaise qattal karte?"

Bhartay hain paara phir ye chuptay hain larkay

Inko ghoori hi karaado to ye chuktay hain dar ke

Charhtay sooraj ke ghulaam hain mashoori ko ye poojte

Aur dhool si hai fame likhun jooti ki nok pe

Ye star-waar milna chahte kehta suno time nai

Tum saare larkay apni hi baat pe to qaayim nahi

Aur mujh se karte gillay ke me deta ni attention

Ye naazuk ego chui-mui banday hain pretentious

Me wehem hun nasso me ghuske phaar deta raggain

Kitne saghay mene dassay sar me daal ke waswasay

Mere mun me khaak jo me jhoot bolun

Ye ghar nelaam ka me khareed lu dono

Dain dastak aake darwaazay kholo

Me jaan nai bakhshta aur ye bachay YOLO

More From Sunny Khan Durrani

See alllogo

You May Like