bechain nazar betaab jigar
bechain nazar betaab jigar
ye dil hai kisi ka
deewana haaye deewana
kab shaam ho
aur wo shamma jale
kab udd kar pahunche parwaana
haaye parwaana
hai dil ka chaman khilne ke liye
aayega koi milne ke liye
phoolon se kaho taaron se kaho
phoolon se kaho taaron se kaho
chupke se sajja den veerana
haaye veerana
jab raat zara shabnam se dhule
lehraayi huyi wo zulf khule
nazron se nazar ek bhed kahe
nazron se nazar ek bhed kahe
dil dil se kahe ek afsaana
haaye afsaana
rangeen fiza chhaaaye to zara
waade pe koi aaye to zara
aye josh e wafaa
dil cheez hai kya
aye josh e wafaa
dil cheez hai kya
hum jaan bhi de den nazraana
haaye nazraana
bechain nazar betaab jigar
ye dil hai kisi ka deewana
haaye deewana