main tujhko agar ek phool kahoon
tere rutbe ki tauheen hai ye
tera husn humesha kaayam hai
dum bhar ke liye rangeen hai ye
main tujhko agar ek phool kahoon
ye aankh agar uth jaaye to
har ek sitaara sajda kare
aa jaaye kahin hoton pe hasi
bijali bhi tadap kar aah bhare
bijali bhi tadap kar aah bhare
main tujhko agar ek phool kahoon
main tujhko agar ek phool kahoon
tere rutbe ki tauheen hai ye
ye zulf agar khul jaye to
raaton ki jawaani sharmaaye
raftaar ka aalam kya kahiye
raftaar ka aalam kya kahiye
behta hua dariya tham jaaye
main tujhko agar ek phool kahoon
main tujhko agar ek phool kahoon
tere rutbe ki tauheen hai ye
din raat mehakte rehne ki
kaliyon ne adaa tujh se paayi
yeh chaand jo ghatta badta hai
darr asl hai teri angdaayi
darr asl hai teri angdaayi
main tujhko agar ek phool kahoon
tere rutbe ki tauheen hai ye