
Shaam E Gham Ki Kasam
shaam e gham
ki kasam
aaj ghamgin hain hum
aa bhi jaa
aa bhi jaa
aaj mere sanam
shaam e gham
ki kasam
dil pareshaan hai
raat viraan hai
dekh jaa kis tarah
aaj tanhaa hain hum
shaam e gham
ki kasam
chaen kaisaa jo pehlu
mein tu hi nahin
maar daale na
dard e judaai kahin
rut hansin hai to kyaa
chaandni hai to kyaa
chaandni zulm hai aur
judaai sitam
shaam e gham
ki kasam
aaj ghamgin hain hum
aa bhi jaa
aa bhi jaa
aaj mere sanam
shaam e gham
ki kasam
ab to aajaa ke ab
raat bhi so gayee
zindagi gham ke
sehraaon mein kho gayee
ab to aajaa ke ab
raat bhi so gayee
zindagi gham ke
sehraaon mein kho gayee
dhundhati hai nazar
tu kahaan hai magar
dekhte dekhte
aayaa aankhon mein dum
shaam e gham
ki kasam
aaj ghamgin hain hum
aa bhi jaa
aa bhi jaa
aaj mere sanam
shaam e gham
ki kasam