menu-iconlogo
logo

Nasamajh

logo
Lyrics
Ye duniya toh ajeeb hi shuru se

Kaafio ko yahaan jeene ki na wajah di

Soche bhi na zara bhi

Koi bhi kuchh karne se pehle bas soche doosre ki saza ki

Mere paapon ke saath kala ka ghada bhi

Jab chot padi kisiko toh shraap de vo doosre ko karma ki

Magar iss hisaab se toh jise chot lagi

Asal mein kya bhaari uska karma nahi?

Kyun

Yahaan bekhabar hi bekhabar ko jaane vo bhi darr se rehta

Door

Main bhaaga apne ghar se, mera ghar toh bann chuki thi bas ab

Tu

Bas dekhun chaaro taraf hi har jagah, bas main bolun kya hi

Khoob

Kyun

Kyunki duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari

Nasamajh

Ye duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh

Main koshishein bhi kari, toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh

Yahaan nasamajh bhi na samajh ke bole sabko nasamajh

Main bhi aata duniya mein, toh main bhi thehra nasamajh

Kya tum thodi duniya ko samajhte ho?

Thode bhatakte, vahi thode se badalte log

Kuchh vaade tode, har kadam par ye kasam ke chor

Aur kuchh bas thak gaye aur so gaye hai kab ke vo

Uthte hi sunne mili das baatein

Pehle jaisa lagta nahi, to mujhe lagi sach baat hai

Dinon mein main rehta band tha, pehle bhi bas ab saare

Din mujhe dikhte hi nahi ye, khaali bas raatein, bas raatein

Kuchh puchhe mujhe ki ab aaj kal aap kyun ni rote?

Jab peechhe dekhun saari wajahein bhi dur hi hogye

Subah hone se pehle hi hoon main sojata

Toh kaise ho savera, kaise hone wala surya-uday?

Ab khudse baitha juda main

Sochun kya main sulake ab khud aake kar sakun khud se sulaah main?

Par kaise khud ki baatein bhulaake

Main khuda se bhi puchhun kya tu khuda hai ya khuda ka bhi khuda ek?

Main ruka vahi aaye nahi tum

Hum roshni ke aage magar saaye rahe ghum

Jo diary main bharta tha vo diary bhi chup

Vo shaayari hai khush kaise jab shaayar hi nahi khush?

Meri naarazgi jab tumse tabh tum khafa hoti

Kya tum bhi nasamajh ya aakhir mujhe saza dogi?

Phir sochun saza hogi sapne saare bikhrege

Par sapne poore ho gaye toh jeene ki kya wajah hogi?

Chot puraani phirse aaj lagti nahi

Jeet na miley par vo haar tak hi sahi

Vo jisse karti pyaar vo usse karta nahi

Aur vo kare jise vo usse pyaar karti nahi

Zinda uthade jo vo neend nahi hoti

Ghadi ki sui atki dhaai par vo teen nahi hoti

Agar ganga mein jaate paapi paap dhone

Toh jo paap karte na unko kya ganga naseeb nahi hoti?

Kyun

Yahaan bekhabar hi bekhabar ko jaane vo bhi darr se rehta

Door

Main bhaaga apne ghar se, mera ghar toh bann chuki thi bas ab

Tu

Bas dekhun chaaro taraf hi har jagah, bas main bolun kya hi

Khoob

Kyun

Kyunki duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari

Nasamajh

Ye duniya saari nasamajh

Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh

Main koshishein bhi kari, toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh

Yahaan nasamajh bhi na samajhke bole sabko nasamajh

Main bhi aata duniya mein, toh main bhi thehra nasamajh

Ye duniya lakeer jo mitti chali jaati jitna tum usse kheenchtein

Vo safar bhi kya safar, jo aadha chhode na musafir beech mein?

Khair ye duniya toh nasamajh, main safar ki shaanti ko poora sokh liya

Khair tu hi toh duniya hai meri, aur hum ek hi hai

Tabh hi nasamjhi mein safar adhoora chhod diya

Nasamajh by Uday/Karan Kanchan - Lyrics & Covers