menu-iconlogo
logo

Payal

logo
Lyrics
Paayal ki jhankaar

Sa sa sa sa sa

Paayal ki jhankaar bairaniya

Birah se tann taa tapat hai

Birah se tann taa tapat hai

Sada rangeeli uthat jiya ho

Paayal ki jhankaar bairaniya

Paayal ki jhankaar bairaniya

Birah se tann taa tapat hai

Sada rangeeli uthat jiya ho

Jeena kare mushkil teri payal

Ghayal hone laga dil mera

Shayad main hi kaayar

Shayaron ki shayari bhi

Tujhe lage pheeki shayad

Layak main ni tere

Phir bhi tu hi toh meri inaayat huh!

Sangeet se hai prem

Phir bhi jaan tere liye haazir

Aakhir mein main hi toh bacha hoon

Hua hoon ek musaafir

Aur tu hai manzil meri

Parchaai hoon main teri

Milne mein ab deri

Imtehaan kyun hai le rahi

Teri payal teri ankhon mein

Woh kajal ab pighalne lage

Baadal bina ohde koi chadar

Sab kuch is tujhpe hai nyochawar

Likha par mita diya waqt ne

Behana bhi ab chhod diya

Yahan pe mere raqt ne

Dono hai muqqabil

Phir bhi raghbat ke kaabil

Bann na chahu tera sahil

Phir kyun hota nahin haasil

Tera prem tera hoor

Teri aankhon ka gurroor

Yeh galti teri nahin hai

Teri paayal ka kasoor hai

Paayal ki jhankaar bairaniya

Paayal ki jhankaar bairaniya

(Teri paayal ka kasoor hai)

Birah se tann taa tapat hai

Sada rangeeli uthat jiya ho

Qayanaat ka paigaam

Haan yeh raat hai bekaam

Tere haath mein lagaam

Mere dil ki jo benaam

Bhulaane ki hai koshish kari

Baatein yeh maan

Par teri payal ki rishwat

Ne banaya beimaan

Maine yeh socha kya yeh dhoka

Khudko hai roka par yahaan do ka

Dil nahin toota yahan toote kayi dil

Kisi uchi manzil se kari shuruwaat par

Gire pade mile zameen pe yeh saare buzhdil

Toh aaj dhoondta hua tujhe

Geheraai mein doobta diya jaise

Isme ab aag nahin phir bhi thodi jaan

Tere iss pyaar mein marna bhi imaan

Dooriyon ki wajah se ab kaisi hai yeh ranjish

Tera mera raag todega yeh bandish

Band is darwaaze ko kiya sab chhoote

Tode saare dil par teri payal na ab toote

Paayal ki jhankaar bairaniya

Paayal ki jhankaar bairaniya

(Teri payal ka kasoor hai)

Birah se tann taa tapat hai

Sada rangeeli uthat jiya ho

Payal by Void - Lyrics & Covers