menu-iconlogo
logo

Do Khidkiyaan

logo
Lyrics
Banna uske jaisa, maanta nahi logon ko main nahi maanta

Ummid rakhne jitna jaanta nahi logon ko

Yeh rishte bante patte, kyun samay-samay se khichte

Isliye jaane-anjaane mein main kyun

Baandhta nahi logon ko kyun

Daant dono ko jo kaat’ta aur kat’ta bhi

Baat dono se jo baant’ta aur bant’ta bhi

Haan, seekhna hai sabse, phir bhi bante kyun hain badtameez

Yeh sapno ka hai khatkhataana, raat ko de thapthapi

Hai kuch kami toh lagti jab bhi zindagi ko jeete hum

Lagta hum sabse aage, asal mein sabse peeche hum

Mehnat ka fal hai dikhta jab jadon se gyaan seenche hum

Woh kheechein humko peeche

Sochein girein seedha neeche hum, toh dheeth hain hum

Uthna aadat si hai sach

Dard saare likhna toh ibaadat si hai

Woh poochein, “kab tak chalega yeh sab?” Yeh mere sapne

Yeh tab tak chalega jab tak sab hote apne

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab

Jo bhi saare karein peeth peeche baatein

Kheechein neeche aake

Woh bhi toh bakne ke mauke na chhodein na

Hum bhi toh thakne ke mauke na chhodein

Yeh lambi hai daud, toh kabhi na aati yeh chaud

Aur liya hai kabhi kuch bheekh mein nahi

Jaanta hai tu bhi ki tere campus waale rapper

Mere waale league mein nahi

Naseeb mein nahi hai mera wala flow flow mera wala flow

Tu jaanta nahi hai bro, gig ke baahar

Jo 16 pe 16 deke banne lage the kitne dost

Kitne log jo jaanein tujhe tere kaam se

Pehle aur naam se baad

Yeh so called “ogs”, tabhi toh

Mujhe unka yahan naam nahi yaad

Main maanun ki tu yahan independent toh

Toh gaane mein master nahi kya

Paise toh diss wale video mein, halka disaster nahi kya

Main karta nahi ego ki baat

Warna udne lagegi yahan sabki khilli

Hum poles apart, ye east or west

Jaise chalta yahan bombay, dilli

Par yeh sach nahi, gaane banaane toh rehte sab touch mein hi

Aayi jo rut nayi, jo jaante woh jaante main likhta sab sach bhai

Haan, bolna hai bahut kuch, par muh se niklega aaj kuch nahi

Haan, bolna hai bahut kuch, par muh se niklega aaj kuch nahi

Bas dar yahi baat ka lagta hai bro, ki log sunenge kya

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab

Do Khidkiyaan by Yashraj - Lyrics & Covers