menu-iconlogo
logo

Sote Raho

logo
Lyrics
Haan humein poochta kaun

Waise bhi ginti mein aane ki aadat nai

Haan humein poochta kaun

Izzat kamaane ki lagti ijazat nai

Haan humein poochta kaun

Waise bhi ginti mein aane ki aadat nai

Haan humein poochta kaun

Izzat kamaane ki lagti ijazat nai

Aadha jo paani Wo bhara ke khaali

Mein quater mila du Paheli bhi jaali

Li chain ki saas mein Pen jo haathmein

Likhta sense se Saare bole mujhe sensei saathmein

Meri,zabaan hilti thodi zayada

Kadam ek ek karke mein tho khelu jaise pyaada

Raja ke saamne fir bh kad mein me aadha

Ye mukadme ke baad mooh aur kadmo ka naata

Vaada

Hum bhi tho marte raz,ladte roz

Taaki hum karpaate shows

Aur kho dete hosh hum josh mein

Soch jo log dabochte bhoj se

Roj hum khojte

Kitne raaste haan

Kum jo karne faasle haan

Hum tezi se bole toh saasle naa

Aur naachte bol par kaanch pe na

Kare na kabhi wo meri baat

Chale na kabhi wo mere saath

Khada akela jo jaagta mein saari saari raat

Samjhi mujhe meri aukaad

Hota savera jo

Bole mujhe ki mein khaas nai

Udaa du mein sabko ek saas mein hi

Par hone laga ye ehsaas ki

Sabko lagta references hi bars bhai

Nahin

Humein poochhta kaun

Waise bhi ginti mein aane ki aadat nai

Haan humein poochta kaun

Izzat kamaane ki lagti ijazat nai

Haan humein poochta kaun

Thandi mein deta kyu koi bhi chaadar nai

Haan humein poochta kaun

Javabon se behtar savaalon ke baadal bhai

Sote raho kaam pe

Tum jaane-anjaane mein sote raho kaam pe

Sote raho kaam pe

Tum jaane-anjaane mein sote raho kaam pe

Sote raho kaam pe

Tum jaane-anjaane mein sote raho kaam pe

Sote raho kaam pe

Tum jaane-anjaane mein sote raho kaam pe

Mein toh farzi ghalib Merzi maalik

Liya saal ek Khole taale

Abhi bhi saale jale Banta mali

Daalta paani Dete gaali

Dekho kaise Abh bhi saamne khade

Darta na kisi se kabhi bhi

Abhi bhi jhagde kyu hum yaha baap ke saath

Aur karta na mehengi gaadiyop ki baat

Ke hoga jo hua tha pac ke saath

Toh naach

Parde bhi hone lage faash

Galti bhi hone lagi maaf

Bane mere yaha Do-teen bhi laash

Jo bhi maarte ghaas

Baateib karte khaas

Khaaste khaaste baat

Jaagte saari raat

Naachte saari raat

Yaadon ki baarat

Firse nikli aaj Gale mein kharaash

Fir bhi bote aaj

HAAN

Toh aaya beat mein pe waapas

Under the speed limit tho reciept le le waapas

Ye naa bas mein tere Baje been mere kaan mein

Mic mere haath mein toh scene saje raat mein

Ye khel hai shatranj ka hoti jo ismein matbhed

Kamaane mujhe paise

Really gotta get that check cheque mate

I pum fame

Aur khude log seedha yaha conclusions pe

Ye hustle oranic na tere marketing solutions be

Sote raho kaam pe

Jaane-anjaane mein sote raho kaam pe

Aazad hu mein

Aazad hu mein

Tho sote raho sote raho sote raho kaam pe

Badal gaya hu mein

Ha badal

Ha Badal gaya hu mein

Tum jaane-anjaane mein

Jaane-anjaane mein

Sote raho sote raho

Kaam pe