Hum madineyse Allah kiun agaye
Qalb e hairan ki taskeen wahin reh gai
Hum madineyse Allah kiun agaye
Qalb e hairan ki taskeen wahin reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Dil wahin reh gaya Jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Yaad atey hain hum ko wo shaamo sehar
Wo sukoon o dil o jaan o rooh o nazar
Yaad atey hain hum ko wo shaamo sehar
Wo sukoon o dil o jaan o rooh o nazar
Yeh unhi ka karam hai unhi ki ata
Ek kefiat e dil nasheen reh gai
Yeh unhi ka karam hai unhi ki ata
Ek kefiat e dil nasheen reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Allah Allah wahan ka sujood o qayam
Allah Allah wahan ka durood o salam
Allah Allah wahan ka sujood o qayam
Allah Allah wahan ka durood o salam
Allah Allah wahan ka wo qaif e dawam
Wo salat e sukoon akhri reh gai
Allah Allah wahan ka wo qaif e dawam
Wo salat e sukoon akhri reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili
Jis jagah har qadam unki rehmat mili
Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili
Jis jagah har qadam unki rehmat mili
Jis jagah noor rehta hai shaam o sehar
Jis jagah noor rehta hai shaam o sehar
Wo falak reh gaya wo zameen reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Zindagani wahin kaash hoti basar
Kaash behzad aatey na hum loat kar
Zindagani wahin kaash hoti basar
Kaash behzad aatey na hum loat kar
Or poori hoi har tamanna magar
Yeh tamanna e qalb e hazeen reh gai
Or poori hoi har tamanna magar
Yeh tamanna e qalb e hazeen reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai
Hum madineyse Allah kiun agaye
Qalb e hairan ki taskeen wahin reh gai
Dil wahin reh gaya jaan wahin reh gai
Kham usi dar pe apni jabeen reh gai