menu-iconlogo
logo

Apni to jaise taise

logo
Letras
Apni to jaise taise

Thodi aise ya waise

Apni to jaise taise

Thodi aise ya waise

Kat jaayegi

Aapka kya hoga janaabe aali

Aapka kya hoga

Apne aage na peeche

Na koi upar neeche

Apne aage na peeche

Na koi upar neeche

Ronewala

Na koi ronewali janaabe aali

Aapka kya hoga

Aap bhi meri tarah insaan ki aaulad hain

Aap mooh mangi dua

Hum unsooni faryaad hain

Woh jinhe sara zamana samjhe laawaris yahan

Aap jaise zaalimon ke

Zulm ki ijaat hain

Gaali huzur ki to

Lagti duaon jaisi

Gaali huzur ki to

Lagti duaon jaisi

Hum dua bhi de to lage hai gaali

Aapka kya hoga janaabe aali

Aapka kya hoga

Aapke maathe se chhalke

Jo pasina bhi kahin

Aasma hilne lage aur

Kaap oothe yeh zameen

Aapka to yeh pasina

Khoon se bhi keemti

Aur apne khoon ki keemat

Yahan kuch bhi nahin

Apna to khoon paani

Jeena marna bemaani

Apna to khoon paani

Jeena marna bemaani

Waqt ki har ada hai apni dekhi bhali

Aapka kya hoga janaabe aali

Aapka kya hoga

Haan

Apni to jaise taise

Thodi aise ya waise

Kat jaayegi

Aapka kya hoga janaabe aali

Aapka kya hoga

Apne aage na peeche

Na koi upar neeche

Apne aage na peeche

Na koi upar neeche

Ronewala

Na koi ronewali janaabe aali

Aapka kya hoga