Meri bechainiyon ko
Chain mill jaaye...
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Mere deewanepan ko
Sabr mil jaaye...
Tera chehra jab nazar aaye
Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na aankhon se bheega bheega pyaar
Beh jaata hai
Meri tanhaiyon ko
Noor mill jaaye...
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Main raat din ye duaa karun
Tere liye main jiyun marun
Chaaron pehar tujhe dekha karun
Mera jahan ye tujhpe fanaa karun
Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na honthon pe tera ehsaas
Reh jaata hai
Mere har raaste ko
Manzil mill jaaye...
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Berang hawayein mujhe naa jaane
De gayi sadaa kyun abhi abhi
Hai sarfaroshi ye aashiqui bhi
Jaayegi jaan meri isme kabhi
Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na har lamha teri daastaan
Keh jaata hai
Meri har ik tadap ko
Sukoon mill jaaye...
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye