menu-iconlogo
logo

Aaj Jane Ki Zid Na Karo

logo
Letras

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo

Yunhi pehlu mein bethey raho

Yunhi pehlu mein bethey raho

Aaj jaane ki zid na karo

Haaye mar jaayein ge

Hum to lutt jaayein ge

Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo....

Tumhi socho zara

kyu'n na rokein tumhey

jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum

jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum

tum ko apni qasam jaan e jaa'n

baat itni meri maan lo

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo...

Waqt ki qaed mein zindagi hai magar

chand gharriya'n yahi

hain jo aazaad hai

inko khho kar kaheen jaan e jaa'n

umr bhar na tarastey raho

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo...

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama

husn aur ishq ki aaj me'raj hai

husn aur ishq ki aaj me'raj hai

kal ki kis ko khabar jaan e jaa'n

rok lo aaj ki raat ko

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo

Yunhi pehlu mein bethey raho

Yunhi pehlu mein bethey raho

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo

Aaj jaane ki zid na karo...