menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Yeh Kahan Aa Gaye Hum, For Male singers, Movie Silsila (1981) By SHYAM YADU

Farzana Sayyedahuatong
SHYAM🇮🇳YADU⭐CGKS⭐huatong
Letras
Grabaciones
Yeh Kahan Aa Gaye Hum For male singer

Movie Silsila (1981)

Sung by Lata Mangeshkar and Amitabh Bachchan.

Written by Javed Akhtar

Music composed by Shiv–Hari.

Starring Amitabh Bachchan and Rekha.

Female voice in this track : Farzana Sayyeda

Main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte hain

Tum hoti to kaisa hota

Tum yeh kehti, tum woh kehti

Tum is baat pe hairan hoti

Tum us baat pe kitni hansti

Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota

Main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte hain

Farzana…….

…………………

BY SHYAM YADU

…………………

Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli huyi hain

Hai chandni ya tumhari nazron se

Meri raatein dhuli huyi hain

Yeh chaand hai ya tumhara kangan

Sitare hain ya tumhara aanchal

Hawa ka jhonka hai ya tumhare badan ki khushbu

Yeh pattiyon ki hai sarsarahat

Ke tumne chupke se kuchh kaha hai

Yeh sochta hoon main kabse gumsum

Ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai

Ki tum nahin ho, kahin nahin ho

Magar yeh dil hai ki keh raha hai

Tum yahin ho, yahin kahin ho

Farzana…….

…………………

BY SHYAM YADU

…………………

Farzana…….

Majboor yeh halaat idhar bhi hai, udhar bhi

Tanhai ke ek raat idhar bhi hai, udhar bhi

Kahne ko bahut kuchh hai

Magar kis se kahein hum

Kab tak yoon hi khamosh rahein aur sahein hum

Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha dein

Deewar jo hum dono mein hai aaj gira dein

Kyon dil mein sulagte rahein logon ko bata dein

Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat

Ab dil mein yehi baat idhar bhi hai, udhar bhi

Farzana…….

Thanks......

Más De Farzana Sayyeda

Ver todologo

Te Podría Gustar