menu-iconlogo
logo

Hum Tere Shahar Mein Aaye Hain

logo
Letras
Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain

Ghulam Ali

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Sirf ek bar mulakat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Meri manzil hai kahan

Mera thikana hai kahan

Meri manzil hai kahan

Mera thikana hai kahan

Subhah tak tujhe se bichhad kar

Mujhe jana hai kahan

Sochne ke liye ek raat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Apni aankhon mein chhupa

rakhe hai Juganoo maine

Apni aankhon mein chhupa rakhe hai

Juganoo maine

Apni palkon pe saja

rakhe hai aansu maine

Meri aankhon ko bhi

barsat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Aaj ki raat mera

dard e mohabbat sun le

Aaj ki raat mera

dard e mohabbat sun le

Kap kapate huye hothon ki

sikayat sun le

Aaj izhaar e khayaalat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Bhulna tha to ye

iqraar kiya hi kyun tha

Bhulna tha to ye

iqraar kiya hi kyun tha

Bewafa tune mujhe,

pyaar kiya hi kyun tha

Sirf do char sawalaat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Sirf ek bar mulakat ka mauka de de

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah

Hum tere shahar mein aaye hai

Musafir ki tarah