Babul ka yeh ghar behna
Kuch din ka thikana hai
Banake dulhan ek din
Tujhe piya ghar jaana hai
Babul tere bagiya ki
Main tho wo kali hoon re
Babul tere bagiya ki
Main tho wo kali hoon re
Chod tere bagiya mujhe
Ghar piya ka sajana hai
Kyu chod tere bagiya mujhe
Ghar piya ka sajana hai
Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hai
Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hai
Dastoor duniya ka
Hum sab ko nibhana hai
Maiya tere anchal ki
Main ho kaisee gudiya re
Maiya tere anchal ki
Main ho kaisee gudiya re
Tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hai
Maiya tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hai
Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Kaleje ke tukde ko
Roh roh ke bhulana hai
Bhaiya tere angna ki
Main hoon yaise chidiya re
Bhaiya tere angna ki
Main hoon yaise chidiya re
Raat bhar besara hai
Subha udd jaana hai
Raat bhar besara hai
Subha udd jaana hai
Yaadein tere bachpan ki
Ham sab ko rulayengi
Yaadein tere bachpan ki
Ham sab ko rulayengi
Phir bhi teri doli ko
Kaandha to lagana hai
Behna teri doli ko
Kaandha to lagana hai