menu-iconlogo
huatong
huatong
kishore-kumar-chingari-koi-bhadke-cover-image

Chingari koi Bhadke

Kishore Kumarhuatong
pandoracgnhuatong
Letras
Grabaciones

hmmm...chingaari koi bhadke

chingaari koi bhadke

to saavan usey bujhaaye

saavan jo agan lagaaye

usey.. kaun bujhaaye

ho usey kaun bujhaaye

patjhad jo baag ujaade,

vo baag bahaar khilaaye

jo baag bahaar me ujde,

usey kaun khilaaye

ho usey kaun khilaaye

humse mat puchho kaise,

mandir tuta sapno ka

humse mat puchho kaise,

mandir tuta sapno ka

logo ki baat nahi hai,

ye kissa hai apno ka

koi dushman thes lagaaye,

to meet jiyaa behlaaye

manmeet jo ghaav lagaaye,

usey kaun mitaaye

na jaane kya ho jaata,

jaane hum kyaa kar jaate

na jaane kya ho jaata,

jaane hum kyaa kar jaate

peete hain to zinda hain,

na peete to mar jaate

duniya jo pyaasa rakhe,

to madira pyaas bujhaaye

madira jo pyaas lagaaye,

usey kaun bujhaaye

ho usey kaun bujhaaye

maana tufaan ke aage,

nahi chaltaa zor kisi kaa

maana tufaan ke aage,

nahi chaltaa zor kisi kaa

maujon kaa dosh nahin hai,

ye dosh hai aur kisi ka

majdhaar me naiyaa dole,

to maajhi paar lagaaye

maajhi jo naav duboye, usey kaun bachaye

ho usey kaun bachaaye,

chingaari...hmmm hmm hmm hmm hmm hmm

Más De Kishore Kumar

Ver todologo

Te Podría Gustar