Apne marne ka darr nahi
Darr hai apno ke marne ka
Sapne me aati hai kabre
Ab to sone se dar lagta
Mujhme hai kaafi andhera
Aur iss dimag me keede hai
Gardan me chubhti hai saanse
Lage tezaab hai seene mei
Sunn hai saara sheher ab
Chitaon ka bujhra nahi dhua
Kartab ye shaitani lagte hai
Bhagwaan bhi behra hai hua
Maut to aane hai mere bhi
Dekho wo aaye kis bistar par
Hounga rakh mai jaldi hi
Gharwale jaye ab kis dar par
Acha beta nahi ban paya
Vaade tode hai saare bas
Shiddat se ki nahi mohabbat
Kitabo me maine bas mari jhak
Uljha raha mai mashaqqat mein
Kaash mai thoda sa jee leta, hash leta apno ke sath
Kash mai ban pata vijeta
Saans lena bhari
Mere sene mai kaanch hai
Sarr mai he bhaari dard
Meri aankho mai aag hai
Mai ban suka lava ab
Toh bistar hi sath hai
Jitne bhi sapne sanjoye
The ab to sab barbaad hai
Maut Maut Maut Maut
Maut Maut Maut Maut
Maut Maut Maut Maut
Maut Maut Maut Maut