nazaron se milee nazaren hamaari
rukii-rukii see hai duniyaa ye saaree
thodee see hai choree, thodee seena-jori
likhi hai kahaani thaaron ne hamaari
kaisee ye halchal dil ne karee hai
aankhon mein sapane bune
kaisee ye chanchal dil kee gali hai
manzar naya ye chune
nazaron se milee nazaren hamaari
baathen hone lagee kuch baaree-baaree
likhi hai kahaani aankhon ne tumhaaree
padhi hai zubaani nainon ne hamaari
raaston se milee manzilen hamaari
gunagunaane lagee zindagi hamaari
sapane sirahaane lage
bewajah yoon hee main sapane ye jaage-jaage boluun
khwaabon mein apanae main to hoon beparwaah
bewajah duniyaa kee sabhee ye baathen main naa sunuun
naa kabhi bhee sahee baathen ye hotee hain
sitaron se aage jahaan aur bhee hai
meri kahaani ka manzar vaheen hai
vaheen hai, vaheen hai, vaheen hai
kaisee baghaavat dil ne karee hai
teri ibaadat kare
haan , kaisee inayat tune karee hai
teri hee hasarat ye kare
nazaron se milee nazaren hamaari
baathen hone lagee kuch baaree-baaree
likhi hai kahaani aankhon ne tumhaaree
padhi hai zubaani nainon ne hamaari
khwaabon se judi hain doriyaan hamaari
ummiden saji hain nainon mein hamaari
thodee see naadaani, thodee manamaani
khinchi hai lakeeren dil ne hamaari
dil ne hamaari
dil ne hamaari