Aapke pehlu men aakar ro diye
Aapke pehlu men aakar ro diye
Dastaan e gam sunaakar ro diye
Aapke pehlu men aakar ro diye..
Zindagi ne kar diyaa jab bhi udaas
Aa gaye ghabaraa ke ham manzil ke paas
Sar jhukayaa, sar jhukaakar ro diye
Aapke pehlu mein aakar ro diye
Shaam jab aansu bahaati aa gayi
Shaam jab aansu bahaati aa gayi
Har taraf gam kii udaasi chhaa gayi
Deep yaadon ke jalaakar ro diye
Aapake pehlu men aakar ro diye
Gam judayi kaa sahaa jataa nahin
Aapke bin ab rahaa jataa nahin
Pyaar men kya kya ganwaakar ro diye
Dastaan e gam sunakar ro diye
Aapke pehlu mein aakar ro diye.