Dil ki, ye aarzuu thi koi.dilaruba mile
Dil ki ye aarzuu thi koii dilaruba mile
Lo ban gaya naseeb ke tum,hum se aa mile
Dil ki ye aarzu thi koi dilarubaa mile
Dekhe hume naseeb se ab, apne kyaa mile
Dekhe hume naseeb se ab, apne kyaa mile
Ab tak to jo bhi dost mile, bewafaa mile
Ab tak to jo bhi dost mile, bewafaa mile
Ankhon ko ek ishaare ki zahmat to dijiye
Kadamo me dil bicha dun ijazat to dijiye
Gham ko gale lagalun jo gham, aapka mile
Gham ko gale lagalun jo gham, aapka mile
Dil ki ye aarzu thi koi dilarubaa mile
Dil ki ye aarzu thi koi dilarubaa mile
Humne udaasiyon me guzaari hai zindagi
Humne udaasiyon me guzaari hai zindagi
Lagta hai dar farebe wafa se kabhi kabhi
Lagta hai dar farebe wafa se kabhi kabhi
Aisaa na ho ki zakhm koi phir nayaa mile
Aisaa na ho ki zakhm koi phir nayaa mile
Ab tak to jo bhi dost mile bewafaa mile
Kal tum juda hue the jahan,sath chod kar
Hum aaj tak khade hai usi,dil ke mod par
Hum ko is intezar ka kuch, to sila mile