created by Zafar Imam
Manzil hai na humdam hai,
Kuch hai to agar dam hi dam hai
Main is duniya mein akela hun
Akela hun main akela..
INTERLUDE
Awara hun badal ki tarah, meri duniya dur sitaron se
Par bhatki hui ik mauj hun main jo mil na sakegi kinaron se
Jo mil na sakegi kinaron se
Manzil hai na humdam hai,
Kuch hai to agar dam hi dam hai
Main is duniya mein akela hun
Akela hun main akela..
INTERLUDE
Main har gham par hansta hi raha, ye aankh kabhi purnam na hui
Main har gham par hansta hi raha, ye aankh kabhi purnam na hui
Main saath chala duniya ke magar, duniya hi shareek e gham na hui
Duniya hi shareek e gham na hui
Manzil hai na humdam hai,
Kuch hai to agar dam hi dam hai
Main is duniya mein akela hun
Akela hun main akela..
INTERLUDE
Mujhe pyar hai kiu tanhai se, bedard zamana kya jaane
Jis dil ne chot na khai ho wo mera fasana kya jane
Woh mera fasana kya jane
Manzil hai na humdam hai,
Kuch hai to agar dam hi dam hai
Main is duniya mein akela hun
Akela hun main akela..
** Thank you **