menu-iconlogo
logo

Jab deep jale aana

logo
Letras
Jab deep jale aana,

jab shaam dhhale aana

Sanket milan ka bhool na

jaana mera pyaar na bisraana

Jab deep jale aana…

Main palkan dagar buhaarunga

Teri raah nihaarunga

Meri preet ka kaajal tum

apne naino mein male aana

Jab deep jale aana…

Jahaan peheli baar mile the hum

Jis jagaah se sang chale the hum

Nadiya ke kinaare aaj ussi

Amwa ke tale aana

Jab deep jale aana…

Ni Re Ga, Re Ga, Ma Ga Re Sa Sa Ni

Pa Pa Ma, Re Ga , Sa Ni Sa Ga Pa Ma Pa

Nit saanjh sawere milte hain

aa aa aaaa...

Nit saanjh sawere milte hain

Unhein dekhke taare khilte hain

Nit saanjh sawere milte hain

Unhein dekhke taare khilte hain

Lete hai vidaa ek duje

se Kahte hain chale aana

Jab deep jale aana,

jab shaam dhhale aana

Jab deep jale aana de Mathew - Letras y Covers