Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon bekaraar
Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon bekaraar
Door zulfon ki chhaaon se,
Kehta hoon main havaon se
Usi but ki adaaon ke, afsane hazaar
Woh jo baahon mein machal jati,
Hasrat hi nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jata karaar
Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon bekaraar
Aa aa aaa aaaaa
Armaan hai koi paas aaye,
In hathon mein woh hath aaye,
Phir khwaabon ki ghata chhaaye,
barsaaye khumaar
Phir Unhin din raaton pe,
Matavaali mulaqaaton pe,
Ulfat bhari baaton pe, hum hote nisaar
Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein,
phirta hoon bekarar