Chaaha hai tujhko maine arso se na milti tu
Roshni tere chehre pe hai badi khilti tu
Tu puche aisa kya hai mujhme jo na unme tha
Aur kehdunga jo sab kuch tera mann hai sunne ka
Aankho se chupti kyun ho
Chehra dikhao na
Baithi kyu door itna tum
Paas toh aao na
Kehna ab na tum mujhko
Khudse jhutlaao na
Banti ho itna tum jo
Meri ban jaao na
Banjaao na
Khud se khafa hoke tum
Khud ko mana leti ho
Haske dekho mujhko jo
Mann chaahe karwaleti ho
Aankho mei hai jo raunak
Uski wajah tum hi ho
Jab se ho aayi zindagi
Mei tum wajah deti ho
Hai pana
Tumko lagta hai apna ye guroor
Na tum bhi jaana
Ab paas aake
Tum mere mujhse door
Jab tum ho jaati
Na milta hai mujhe
Milta na hai sukoon
Ik pal ko ruk toh ja zara
Nazre churati kyu ho
Mujhse milaao na
Aankho mei dekho meri
Sab kuch dikhaaunga
Tumse bhi kya sharmaana
Ab na ghabraaunga
Apna lo mujhko thoda
Apna ban jaunga
Ban jaaunga
Apna bana le mujhko
Faasle kam bhi honge
Aur tum aur mai bhi paas
Maano ya maano na tum
Sach toh hai ek hi baat
Dil mei bhi mere hai wo
Tum bhi wo jaano baat
Poochu kya chaahti mujhko
Karti na tum inkaar
Faasle kam bhi honge
Aur tum aur mai bhi paas
Maano ya maano na tum
Sach toh hai ek hi baat
Dil mei bhi mere hai wo
Fir kehdu mai ek baar
Banti ho itna tum toh
Meri ban jaao na