Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka
Mujhe khat mila mere yaar ka
Gaaye yeh zameen jhoome aasman
Mil gaya pata dil faraar ka
Dil mein thehri si koi betaabi hai vo
Behta paani kabhi lehron sa baaghi hai vo
Dil mein thehri si koi betaabi hai vo
Behta paani kabhi lehron sa baaghi hai vo
Thoda kitabi har lafz gulabi
Usne likha mere naam ka
Vo aayega, muskurayega
Waqt uss haseen ke deedar ka
Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka
Mujhe khat mila mere yaar ka
Gaaye yeh zameen jhoome aasman
Mil gaya pata dil faraar ka
Aasmani hui
Main deewani
Yeh zameen begaani
Main hawa mein hoon
Jo vo aaye
Seene se lagaaye
Yun hi reh jaaye
Paas mere rubaroo
Vaari jaun
Diwali eid manaun
Khatm silsila intezaar ka
Meri jaan samaa hai yeh pyaar ka
Mujhe khat mila mere yaar ka
Gaaye yeh zameen jhoome aasman
Mil gaya pata dil faraar ka
Royi ye zameen
Roya aasman
Roya dil mera zaar o zaar tha