Dil toota lekar
Muskura ke chalna sikha diya
Dhokhe ne tere humein
Sambhalna sikha diya
Ho mann bhar gaya hai jo humse
Saare rishte tod denge
Jis din aadat banenge
Usi din hi chhor denge
....
Ho mann bhar gaya hai jo humse
Saare rishte tod denge
Jis din aadat banenge
Usi din hi chhor denge
Ho ho hasne na denge tumhein
Rone na denge
Pal pal baad yaad aayenge
Sone na denge
Na yakeen kisi pe bhi
Tum kabhi kar paoge
Kuchh is tarah se tumko
Dil hi dil mein tod denge
Ho mann bhar gaya hai jo humse
Saare rishte tod denge
Jis din aadat banenge
Usi din hi chhor denge
Dil lagane ke liye chale jaana
Ghairon ki tum baahon mein
Yaad meri hi aayegi
Dekhoge jab tum unki nigahon mein
Ho ho na chhupa paoge tum aansu itne denge
Dard banke hum tumhare zehan mein utrenge
Maut se mila ke tumko
Zinda hi chhod denge
Hashr pe laake kisse ko
Hasin mod denge
Ho mann bhar gaya hai jo humse
Saare rishte tod denge
Jis din aadat banenge
Usi din hi chhor denge
Ho mann bhar gaya hai jo humse
Saare rishte tod denge
Jis din aadat banenge
Usi din hi chhor denge
Marte huye ko bikharte huye ko tadapta hua chhod ke
Arre tum kya jaanoge kitna maza aata hai dil tod ke
Aane na denge aankhon mein apni hum nami
Arre ban’ne na denge tumko hum apni kami
Na koyi sawal karna
Na koyi jawab denge
Ginte ginte thak jaoge
Zakhm behisaab denge