menu-iconlogo
logo

Tera Deedar Hua

logo
Letras
Yoon tera muskurana aur aake chale jaana

Yoon tera muskurana aur aake chale jaana

Qismat ka hai khul jaana

Tera deedar hua, pehla sa pyaar hua

Pehli hi baar hua is dil ko

Na toh inkaar hua, na hi iqraar hua

Jaane kya, yaar, hua is dil ko

Tujhse mila toh jaagi duayein

Aur nazar ne sajda kiya

Jannat zameen pe aayi utar ke

Khushiyon ne jaise chun sa liya

Har manzar dil-nasheen hai (oho, aaha, oho, aaha!)

Tu hi tu har kahin hai (oho, aaha, oho, aaha!)

Ho, teri ye adayein toh hain saari qaatilaana

Tera deedar hua, pehla sa pyaar hua

Pehli hi baar hua is dil ko

Na toh inkaar hua, na hi iqraar hua

Jaane kya, yaar, hua is dil ko

Tere bina main tanha tha har pal

Honthon pe har-dam thi tishnagi

Maqsad nahi tha, sapne nahi the

Thi zindagi mein aawaargi

Tu mera rehnuma hai (hoye, oye, hoye, oye!)

Manzil hai, raasta hai (oho, aaha, oho, aaha!)

Ho, mere liye tu toh jaise Rab ka hai nazrana

Tera deedar hua, pehla sa pyaar hua

Pehli hi baar hua is dil ko

Na toh inkaar hua, na hi iqraar hua

Jaane kya, yaar, hua is dil ko