Tum aaj kal meri
Aadat si ban gayi ho
Mere khayalon ki
Ibadat si ban gayi ho
Rehne lage ho…
Tum dil-e-beqarar mein
Aankhon ke intezaar mein
Ye dar-o-deewar mein
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zaffran
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zafran
Tum jo mile toh mil gaya
Chaahat ka aasmaan
Tum aaj kal meri
Aadat si ban gayi ho
Dil mein aarzoo khanakne lagi
Kaano mein lagi karne sargoshiyan
Naino ke charaghon mein jhalakne lagi
Gungunaane lagi teri khamoshiyan
Teri nazar
Meri subaho hai shaam hai
Yeh mera hum-qalam hai
Aaghaaz-o-anjaam hai
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zafran
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zafran
Tum jo mile toh mil gaya
Chaahat ka aasmaan
Tum aaj kal meri
Aadat si ban gayi ho
Aag barf ki bujha do zara
Saanson mein pighalte ho
Moum ki tarah
Gul tere bharam ke jo sookh jaayenge
Khud-ba-khud khul jayegi dil ki girah
Aa jaaoge
Tum ishq ki gawaah mein
Aaghosh mein panaah mein
Chaahat bhari raah mein
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zafran
Dil zaffran, dil zaffran
Dil yeh dil zafran
Tum jo mile toh mil gaya
Chaahat ka aasmaan
Tum aaj kal meri
Aadat si ban gayi ho