menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Mantoiyat Raftaar Upload By Rahul RJ

Rahul RJhuatong
nacharoehuatong
Letras
Grabaciones
Raftaarrr…

(Manto)

Sawaal yeh hai ki Jo cheez jaisi hai

Usey waise hi pesh kyu na kiya jaaye

Main toh bus aapni kahaaniyon ko

Ek aaina samjata hoon

Jisme samaaj apne aapko dekh sake..

Aaina na dekhna chahe samaaj mera

Puche mera kal na dekhte yeh aaj mera

Khodate kharodate yeh meri galatiyan

Main bhi chal diya

Meri soch pe hai raj mera

Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale

Inpe zor na ki satya pe prakash daale

Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale

Ghoome phir khule mein

Aur jale jo woh nakaab daale

Off off off hai, dimag sabka off hai

Zamaana kya kahega

Iska hi toh sabko khauff hai

Daabke jeete hai

Daabane ke yeh aadhi hai

SE☓ nishedh hai toh itni kyu abaadi hai

Log yeh hai aatma se khokhle

Khud kare toh thik baaki.. galat

Dogale!

Gaali de doon Hindi mein toh

Bole aisa kyun kiya

F**k kyun hai cool

Jaane galat kyu hai ch***ya

(Manto)

Kya iss tarah ke alfaz

Humein sadako pe sunayi nahi padte

Manto ek insaan hai..

Manto ek insaan hai..

Manto ek insaan hai..

Manto ek insaan hai..

Mujh par ilzaam hai..

Mujh par ilzaam hai..

Mujh par ilzaam hai..

Manto ek insaan hai

(Raftaar)

Jaat mein yeh baatate hai

Baat ke yeh kaatate hai

Katne waale khat pe hai

Inki mauj raat mein hai

Laal batti wali gaddi

Glass inke hath mein hai

Rajneeti mein hai chor

Police inke sath mein

Meri baate tumhko sach nahi lagti

Sacchi baate tumko yara pach nahi sakti

Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke

Ek pair kabr me ye bhookhe hain dahej ke

Betiyon ko maarte

Betiyan naa paalte

Betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte

Ladkiyan patake unko bandi bolte hai

Aur jo raazi na ho unko saale r**di bolte hain

Baap roz maa pe thos hath jo uthayega

Bezuban bolne se pehle seekh jaayega

Mard tab banega jab tu auratein dabaayega

Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega

(Manto)

Main us society ki choli kya utaarunga

Jo pehle se hi nangi hai

Usey kapde pehnana mera kaam nahi hai

Main kaali takhti par

Safed chalk istamaal karta hoon

Taaki kaali takti aur numaya ho jaaye

Manto ek insaan hai

(Raftaar)

Maine ghanto padha hai tumko Manto

Tumhare jaisa banu kare mera maan toh

Inn bando ko sach nahi dikhta

Sattar saal azaadi ke

Sach aaj bhi nahi bikta

(Manto)

Agar aap meri kahaaniyon ko

Bardasht nahi kar sakte

Toh iska matlab yeh hai

Ki ye zamaana hi naqabil-e-bardasht hai

Upload By Rahul RJ

Más De Rahul RJ

Ver todologo

Te Podría Gustar