Anjaane saare, anjaani raahein
Lagta hai sab naya
Murjhaye khwaabon mein jo tum aaye
Khil jaaye yeh samaan
Ooh, kuch nayi si raahein
Kuch nayi hawayein
Kyun hain bata de mujhe?
Likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein
Hazaaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh sitaare ban gaye
Bana dega nahin kis ko
Jawaan jadoo yeh deewana
Likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein
Hazaaron rang ke nazaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe...
Kahaan nazar ka nishana
Kahaan yeh dil ka thikana
Lage kyun ab se purana
Yeh saara zamana?
Main bhi toh tha, haan, kal waisa hi
Hai jo bana tu humraahi
Badal gaya hai sab, maahi
Main ab woh na raha
Hai tujhse hi mera jahaan
Anjaane saare, anjaani raahein
Ab kaise ho bayaan?
Ooh, kuch nayi si raahein
Kuch nayi hawayein
Kyun hain bata de mujhe?
Likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein
Hazaaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh sitaare ban gaye
Koi khushboo kahin bikhri
Laga ke zulf lehraayi
Likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein
Hazaaron rang ke nazaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe...