menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Saadagi To Humari Zara Dekhiye

Sagar Bhatiahuatong
oldchavey66huatong
Letras
Grabaciones
Saadgi toh humari Zara dekhiye

Saadgi toh humari Zara dekhiye

Aitbaar aapke waade par kar lia

Aaitbar apke waade par kar liya

Baat toh sirf ek raat ki thi magar,

Intezaar aapka umra bhar kar lia.

Saadgi toh humari Zara dekhiye ,

Aitbaar aapke waade par kar lia.

Kis shoq kis tammana kis darje saadgi se

Hum aap ki shikayat, karte hain ap hi se

saadgi toh humari, zara dekhiye.ee.ee.

saadgi toh humari...

Ishq mein uljhane pehle hi kam na thi,

Haan aaa aaa.aaa.aaa.aa.

Ishq mein uljhane pehle hi kam na thi,

Aur paida naya Dard-E-Sar kar lia

Aur paida naya Dard-E-Sar kar lia

Log darte hain qaatil ki parchaai se,

Humne qatil ke dil mein bhi ghar kar lia

Saadgi toh humari Zara dekhiye ,

Aitbaar aapke waade par kar lia.

Zikra ek bewafa aur sitamgar ka tha.

Shikwa kiya sitam ka toh namdeeda hogye.

Toota zara si baat pe toh ranjeeda hogye

Zikra ek bewafa aur sitamgar ka tha

Aapka Aisi baaton se kya waasta

Aapka Aisi baaton se kya waasta

Aap toh bewafa aur sitamgar nahi

Aapne kis liye muh udhar kar lia.

Saadgi toh humari Zara dekhiye ,

Aitbaar aapke waade par kar lia

Tera zulm nahin hai,

shaamil ager meri barbaadi mein

phir ye aankhein bheeg rahi hain kyu.uu

mere aafsaane se.

Beqaraari milegi, mitega sukoon.

Pa ni sa ga re,ga re, ga re ga re ga

sa ni sa ni, ni sa ni sa,dha ni sa ni sa

Beqaraari milegi, mitega sukoon.

Chain chin jayega neend udjaye gi

Chain chin jayega neend udjaye gi

Apna anjaam sab humko maloom tha.

aapse dil ka sauda magar karliya.

Saadgi toh humari Zara dekhiye

Saadgi toh humari Zara dekhiye

Zindagi ke safar mei bohot door tak.

jab koi dost aaya na humko nazar.

Humne ghabra ke tanhaiyo se sabaa

Ek dushman ko khud humsafar kar lia.

Saadgi toh humari Zara dekhiye ,

Aitbaar aapke waade par kar lia.

Baat toh sirf ek raat ki thi magar

Intezaar aapka umra bhar kar liya

Saadgi toh humari Zara dekhiye

Saadgi toh humari Zara dekhiye

Más De Sagar Bhatia

Ver todologo

Te Podría Gustar