main yahaan, too vahaan, kehne ko kuch bhee naa
ab raha, ab raha
tere-mere darmiyaan pyaar kee vo garmiyaan
ab kahaan, ab kahaan
kam hain, mukammal se hain
adhure se zyaada hain
aadha mere paas dil
tere paas aadha hai
kehne ko hamsafar hain
bas kehne ko hamsafar hain
par hain juda, hain juda
bas kehne ko hamsafar hain
haan , kehne ko hamsafar hain
par hain juda, hain juda
ishq hai tere milne kee khushii
tuje khone ka dar bhee ishq hai
tere ishq mein rahata hoon main
mera naam-pata aur ghar bhee ishq hai
hai ek pal mein mohabbat
nafrat hai pal duusare
bebas kabhi to kabhi hain
tujh se sabhee aasare
kya jitne bhee gam bane the
saba ke liye hum bane the?
qadamon kee hai doori, magar
kyun badlaa mera rahaguzar?
kehne ko hamsafar hain
bas kehne ko hamsafar hain
par hain juda, hain juda
bas kehne ko hamsafar hain
haan , kehne ko hamsafar hain
par hain juda, hain juda