Lahoo lahoo hai har ik sang e reh guzar jaanaa'n

Huwa na khatam mere dard ka safar jaanaa'n

Ye aur baat ki tu dil ki dhadkano main raha

Talaash phir bhi kiya tujh ko umr bhar jaanaa'n

Ki shaher bhar ne tou chehre ka karb dekha hai

Jo dil pe guzri hai us ki kisse khabar jaanaa'n

Bichhad ke tujh se tou lamhe bhi maah o saal hue

Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jaanaa'n