menu-iconlogo
logo

KI MUHAMMAD SE WAFA-Music

logo
Paroles
Ki Muhammad se wafa tune to ham tere hain

Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain

Ham se pahle tha ajab tere jahan ka manzar

Kahin masjood the patthar kahain m’abood shajar

Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos thi insan ki nazar

Manta phir koi andekhe khuda ki kyun kar

Tujh ko maloom hai leta tha koi naam tera

Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera

Ham to mayel ba karam hain ko sayel hi nahin

Raah dikhlayen kise rahr-e-manzil hi nahin

Tarbiyat aam to hai johar-e-qabil hi nahin

Jisse t’ameer ho Adam ki ye wo gil hi nahin

Koi qabil ho to ham shan-e-kayi dete hain

Dhundhne walon ko duniya bhi nai dete hain

Ki Mohammad (saw) se wafa tune to ham tere hain

Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain

Then hame ek tere marka-araon me

Khushkiyon me kabhi ladte kabhi dariyaon me

Din azane Europe ke kalisaaon me

Kabhi Africa ke tapte huye sehraaon me

Shan aankhon me na jachti thi jahan-daron ki

Kalmah padhte then ham chhaaon me talwaron ki

Manf’at ek hai is qaum ki nuqsan bhi ek

Ek hi sab ka Nabi deen bhi imaan bhi ek

Haram paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek

Kuchh badi baat thi hote jo musalman bhi ek