radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
kanhaiya apni maiyaa se nivedan karte hai
bolte hai maiyaa
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
is par maiyaa yashoda
kanhaiya ko kya uttar detii hai
bolti hai lala
umr teri choti hai nazar teri khoti hai
kaise kara don tero byaah
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
kanhaiya ko apni maiyaa se
is jawaab kii ummid nahin thi
bolte hai maiyaa
jo nahin byaah karaae teri gaeyaa naa hi charaauun

aaj ke baad meri maiyaa teri dahali par naa aaun

aayega re majaa re majaa ab jeet-haar kaa
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
umr teri choti hai najar teri khoti hai
kaise kara don tero byaah
jab kanhaiya kii dhamkiyon kaa
apni maiyaa par koi asar nahin hota
tab wo pyaar se unhen samajhaate hai
or bolte hai maiyaa
chandan kii chaowkee par maiyaa tujh ko baithaaun

apni radha se main charan tere dabavaoon

bhojan main banavaayuunga banavaayuunga 56 prakaar ke
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
umr teri choti hai najar teri khoti hai
kaise kara don tero byaah
choti si dulhaniya jab angana main dolegi

tere saamne maiyaa wo ghunghat naa kholegi

daau se ja kaho ja kaho baithenge dwaar pe
radhika gori se biraj kii chhori se
maiyaa kara de mero byaah
umr teri choti hai najar teri khoti hai
kaise kara don tero byaah
sun baaten kanha kii maiyaa baithi muskaae

leki balaiya maiyaa hriday se apane lagaae

najar kahin lag jaae naa lag jaae naa mere laal ko
radhika gori se biraj kii chhori se
kanha kara don tero byaah
kanha kara don tero byaah
kanha kara don tero byaah