menu-iconlogo
logo

Tootay

logo
Paroles
Bhartay huye zakhmon ko khanrochein

Humein bhool jaana tera

Itni aasaani se mun moday

Ajnabi bann jaana tera

Tootay hum tootay

Tootay huye hain hum yahaan

Tootay hum tootay

Tootay hogay tum bhi wahaan

Kyon kho gayi hai taareekhon mein

Hamaare adhoori daastaan

Kab chooth gaya yeh saath na jaane

Kab ho gaye hum laapata

Tootay hum tootay

Tootay huye hain hum yahaan

Tootay hum tootay

Tootay hogay tum bhi wahaan

Aur waqt ki adaalaton mein

Chaltay rahenge mukkaddame

Rakkhi jaayengi yeh daleelein

Ke tum, tum na rahe

Aur hum bhi

Hum na rahe

Fursat mile jo kabhi toh

Hum pe bhi ghaur karna yahaan

Ke humko teri mehfilon mein

Milti ijaazat kahaan

Tootay hum tootay

Tootay huye hain hum yahaan

Tootay hum tootay

Tootay hogay tum bhi wahaan

Tum bhi wahaan

Tootay par Ankur Tewari - Paroles et Couvertures