Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Ab to chaaron hi taraf band hai
Duniyaa ki gali
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Dil kisi kaa naa dukhe
Humne bas itnaa chaaha
Paap se door rahe
Jhooth se bachanaa chaaha
Paap se door rahe
Jhooth se bachanaa chaaha
Uska badla ye mila
Ulti chhuri humpe chali
Ab to chaaron hi taraf band hai
Duniyaa ki gali
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Humpe ilzaam ye hai
Chor ko kyun chor kaha
Kyun sahi baat kahi
Kaahe naa kuchh aur kahaa
Kyun sahi baat kahi
Kaahe naa kuchh aur kahaa
Ye hai insaaf tera
Waah re daata ki gali
Ab to chaaron hi taraf band hai
Duniyaa ki gali
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Ab to imaan dharam
Ki koi keemat hi nahin
Jaise sach bolne waalon ki
Zaroorat hi nahin
Jaise sach bolne waalon ki
Zaroorat hi nahin
Aisi duniyaa se to duniyaa
Teri veeran bhali
Ab to chaaron hi taraf band hai
Duniyaa ki gali
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Humse kaa bhool huyi
Jo ye sazaa humka mili
Thokre humko qoobul
Raah kisi ko mil jaaye
Hum huye zakhmi to kya
Duje kaa gulshan khil jaaye
Hum huye zakhmi to kya
Duje kaa gulshan khil jaaye
Daag sab humko mile
Yaar ko sab phool kali
Daag sab humko mile
Yaar ko sab phool kali
Zindagaani ki shamma
Bhujh ke agar reh jaaye
Ye samjh lenge ke hum
Aaj kisi kaam aaye
Ye samjh lenge ke hum
Aaj kisi kaam aaye
Jyot apni jo bhuji
Yaar ke jeevan mein jali
Jyot apni jo bhuji
Yaar ke jeevan mein jali