Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Mohabbat barsa dena tu, saawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe
seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai
Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Kyun ek pal ki bhi judaai sahi jaaye na
Kyun har subah tu meri
sanson me samaye na
Aaja na tu mere paas,
dunga itna pyar main
Kitni raat guzaari
hai, tere intezar mein
Kaise bataaun jazbaat ye mere
Maine khud se bhi zyada tujhe chaaha hai
Sab kuch chhod ke aana
tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe
seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai
Bheege bheege tere lab,
mujhko kuch kehte hain
Dil hai khush mera ki
khayal ek jaise hain
Roko na ab khudko yun
sun lo dil ki baat ko
Dhal jaane do shaam aur
aa jaane do raat ko
Kitna haseen ye lamha hai
Kismat se maine churaaya hai
Aaj ki raat na jaana tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe
seene se lagaana hai
Pyar main tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai