Maine poocha chaand se
Ki dekha hai kaheen mere yaar sa haseen?
Chaand ne kahaa
"Chaandanee kee qasam, nahin-nahin-nahin"
Maine poocha chaand se
Ki dekha hai kaheen mere yaar sa haseen?
Chaand ne kahaa
"Chaandanee kee qasam, nahin-nahin-nahin"
Maine poocha chaand se...
Maine ye hijaab tera dhundha
Har jagah shabaab tera dhundha
Kaliyon se misaal teri poochi
Phulon mein jawab tera dhundha
Maine poocha baag se
Falak ho ya zameen, aisa phool hai kaheen?
Baag ne kahaa
"Har kalee kee qasam, nahin-nahin-nahin"
Maine poocha chaand se...
Chaal hai ki mauj kee ravaani?
Zulf hai ki raat kee kahaani?
Honth hain ki aaine kanval ke?
Aankh hai ki maykadon kee raani?
Maine poocha jam se
Falak ho ya zameen, aisee may bhee hai kaheen?
Jam ne kahaa
"Mayakashi kee qasam, nahin-nahin-nahin"
Maine poocha chaand se
Ki dekha hai kaheen mere yaar sa haseen?
Chaand ne kahaa
"Chaandanee kee qasam, nahin-nahin-nahin"
Maine poocha chaand se...