Hum To Tinkay Chun Rahay Thay Aashiynay K Liyeah
Aap Say Kiss Nai Kaha Bijli Giranay K Liyeah
Haath Thak Jain gay Kiyoon Pees Rahay Ho Mehndi
Khoon Haazir Hai Hatheli Pay Laganay K Liyeah
Ishq Ko Dard E Sir Kehnay Walaoon Suno
Kuch Bhi Ho Hum Nai Yeah Dard E Sir Lay Liya
Woh Nigaahon Say Bach Ker Kahan Jain gay
Ub To Un K Mohallay Mein Ghar Lay Lia
Aa'ye Bun Thun K Shehr E Khamooshaan Mein Wo
Qabr Daikhi Jo Meri To Kehnay Lagay
Aray Aaj Itni To Is Ki Taraqqi Howi
Aik Bayghar Nai Acha Sa Ghar Lay Lia
Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi
Idhar zindagi ka
Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Waloon
Zara Sooch Lo Kia Kahay Ga Zamana
Idhar Miaray Armaan Kafan Pehn Lain gay
Udhar Un K Haathon Pay Mehndi Lagay Gi
Idhar Zindagi Ka
Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Idhar Mairay Dil Per Khanjar Chalay Ga
Udhar Un K Maathay Per Bindiya Sajay Gi
Idhar Zindagi Ka
Meri mout pariyon k
Juhrmat m ho gi
Janazaa haseeno k kandhe pe ho ga
Meri mout pariyon k
Juhrmat m ho gi
Janaze haseeno k kandhe pe ho ga
Kafan mera ho ga
Unhi ka dupata
Kafan mera ho ga
Uhi ka dupata bari dhom se
Meri mayt uthe gi
Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi