Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjan hai
Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjan hai
Dharti pe rup maa baap ka
Uss vidhaata ki pehchaan hai
Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Janmdata hai jo, naam jinse mila
Thamkar jinki ungli hai bachpan chala
Kandhe par baithke, jinke dekha jahan
Gyan jinse mila kya bura kya bhala
Itne upkar hain kya kahe
Yeh batana naa aasan hai
Dharti pe rup maa baap kaa
Uss vidhata ki pehchaan hai
Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Janm deti hai jo, maa jise jag kahe
Apni santan me, praan jiske rahe
Loriya hothon par, sapne bunati nazar
Nind jo var de, hanske har dukh sahe
Mamta ke rup me hai prabhu
Aapse paya vardaan hai
Dharati pe rup maa baap kaa
Uss vidhata kee pehchan hai
Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Aapke khwaab hum, aaj hokar jawan
Uss param shakti se, karte hain prarthna
Inki chhaya rahe, rehti duniya talak
Ek pal reh sake, ham naa jinke bina
Aap dono salamat rahe
Sabke dil me yeh arman hai
Dharati pe rup maa baap kaa
Uss vidhata ki pehchan hai
Yeh toh sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjan hai
Dharati pe rup maa baap kaa
Uss vidhata ki pehchaan hai