jaane wo kaise
log the jin ke
pyaar ko pyaar mila
hum ne to jab
kaliyaan maangin
kaanton ka haar milaaaaa
jaane wo kaise
log the jin ke
pyaar ko pyaar mila
khushiyon ki manzil dhundhi to
ghum ki gard miliiiii
khushiyon ki manzil dhundhi to
ghum ki gard miliiiii
chaahat ke naghme chaahe to
aahen sard mili
dil ke bojh ko dugna kar gaya
jo ghumhaar mila
hum ne to jab
kaliyaan maangin
kaanton ka haar milaaaaa
jaane wo kaise
log the jin ke
pyaar ko pyaar mila
bichhad gayaaaaa
bichhad gayaa
bichhad gaya har saathi de kar
pal do pal ka saath
kis ko fursat hai jo thaame
deewanon ka haath
hum ko apna saaya tak
aksar bezaar mila
hum ne to jab
kaliyaan maangin
kaanton ka haar milaaaaa
jaane wo kaise
log the jin ke
pyaar ko pyaar mila
iss ko hi jeena kehte hain to
yoon hi jee lengeeeeee
iss ko hi jeena kehte hain to
yoon hi jee lengeee
uff naa karenge lab see lenge
aansoo pee lenge
ghum se ab ghabraana kaisa
ghum sau baar mila
hum ne to jab
kaliyaan maangin
kaanton ka haar milaaaaa
jaane wo kaise
log the jin ke
pyaar ko pyaar mila