Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Maza Jab Hai, Tumhari Har, Ada
Qaatil Hi Kehlaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Qaatil Tumhe Pukarun
Ke Jaan E Vafa Kahun
Hairat Mein Pad Gaya Hoon
Ke Maein Tum Ko Kya Kahun
Zamaana Hai Tumhaara
Zamaana Hai Tumhaara Chaahe
Jiski Zindagi Le Lo
Agar Mera Kaha Maano To
Zamaana Hai Tumhaara Chaahe
Jiski Zindagi Le Lo
Agar Mera Kaha Maano To
Aise Khel Na Khelo
Tumhaari Is Sharaarat Se Na Jaane
Kis Ki Maut Aaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Haye, Kitni Maasoom Lag Rahi Ho Tum
Tumko Zaalim Kahe Vo Jhootha Hai
Ye Bholaapan Tumhaara
Ye Bholaapan Tumhaara Ye Sharaarat
Aur Ye Shokhi
Zarurat Kya Tumhen Talwaar Ki
Teeron Ki Khanjar Ki
Ye Bholaapan Tumhaara Ye Sharaarat
Aur Ye Shokhi
Zarurat Kya Tumhen Talwaar Ki
Teeron Ki Khanjar Ki
Nazar Bhar Ke,Jise Tum Dekh Lo Wo
Khud Hi Mar Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Hum Pe Kyun Is Qadar Bigadti Ho
Chhedhne Vaale Tumko Aur Bhi Hain
Bahaaron Par Karo Gussa
Ulajhti Hain Jo Aankhon Se
Hawaaon Par Karo Gussa Jo
Takraati Hain Zulfon Se
Bahaaron Par Karo Gussa Ulajhti
Hain Jo Aankhon Se
Hawaaon Par Karo Gussa Jo
Takraati Hain Zulfon Se
Kahin Aisa, Na Ho, Koi,
Tumhaara Dil Bhi Le Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Maza Jab Hai, Tumhari Har,Ada
Qaatil Hi Kehlaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji
Nishaana Chook Na Jaye
Zara Nazron Se Keh Do Ji