Meri ye zindagi puche mujhe
Kya hai yahi teri zindagi
Kahan kho gayi wo masoom hasi
Kahaan chup gayi wo teri khushi
Bachpan ka pal kyun mujhe
Aankhon mein de yun nami
Dhundhe unhi yaaro ko sabhi jo the meri zindagi
Meri zindagi puche mujhe kya hai yahi teri zindagi
Mast tha jahaan nasheela tha samaa
Baandha tha humein kissa ka karwa
Tutati harkatein sharmati hasarate
Duje ke waste ladna jhagadna
Thehar gayi baatein wo sabhi tham gaye pal wahi
Meri zindagi pooche mujhe kya hai yahin teri zindagi
Yaadon ka dhuaan sunati daastaan
Jo milata aasmaan rulaati hai sadaa
Kyu hum dab gaye jeene ki aad mein
Pukaar hi to thi bhoole safar mein
Aao fir se samete wo mein likhi phir nayi zindagi
Meri zindagi pooche mujhe kya hai teri zindagi
Bachpan ka pal kyun mujhe aankhon mein de yun nami
Dhoonde unhi yaaron ko sabhi jo the meri zindagi