menu-iconlogo
logo

Bekhayali

logo
Paroles
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye

"Kyun bichhadna hai zaruri?" ye sawaal aaye

Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi

Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye

Main jo tujhse door hoon

Kyun door main rahoon?

Tera guroor hoon

Aa tu faasla mita

Tu khwaab-sa mila

Kyun khwaab tod doon?

Ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye

"Kyun judai de gaya tu?" ye sawaal aaye

Thoda-sa main khafa ho gaya apne aap se

Thoda-sa tujhpe bhi, bewajah hi, malaal aaye

Hai ye tadpan, hai ye uljhan

Kaise jee loon bina tere?

Meri ab sab se hai annban

Bante kyun ye Khuda mere? (Hmm, hmm, hmm)

Ye jo log-baag hain

Jungle ki aag hain

Kyun aag mein jalun?

Ye nakaam pyaar mein

Khush hain ye haar mein

Inn jaisa kyun banun?

Ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh

Raatein dengi bata

Neendon me teri hi baat hain

Bhoolun kaise tujhe?

Tu to khayalon mein saath hai

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye

"Kyun bichadna hai zaruri?" ye sawaal aaye

Ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh, ooh-ooh-ooh

Nazron ke aage har ek manzar

Ret ki tarah bikhar raha hai

Dard tumhara badan me mere

Zeher ki tarah utar raha hai

Nazron ke aage har ek manzar

Ret ki tarah bikhar raha hai

Dard tumhara badan me mere

Zeher ki tarah utar raha hai

Aa zamaane, aazmaa le, roothta nahi

Faaslon se hausla ye tootta nahi

Naa hai wo bewafa aur naa main hoon bewafaa

Wo meri aadaton ki tarah chhootta nahi