Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ji le jana
Sabki baratein aayin.
Chaha tha maine socha tha maine
Kya kya the armaan dil e nadaan ke
Aankhon mein aansu aaye
Ho.. aankhon mein aansu
aaye par koi na aaya
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulana
Sabki baratein aayin...
In aankhon mein thi ik raat saji
Haathon mein kabhi choodi si baji
Par aankh khuli to aaya nazar
Na raat saji na choodi baji
Mera toota tha dil uski jhankar thi
Sara woh rang tha mere khoon e dil ka
Yeh to hai rona dil ka
Haan.. yeh to hai rona
dil ka kaahe ka tarana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ji le jana
Sabki baratein aayin...